view of shiachat com for qabil ajmeriBy asad310 Asad
True Stories , Posted on 9/19/2008 1:59:03 AMThe above is a verse from Qaabil Ajmeri, a little known poet of outstanding merit.
Chotaa saa deewaan thaa inn kaa, "Deedah-e-Baydaar" kay naam say, jo abb unqaa hai.
Ghazal, b'azaat'hee kehnaa mushkil kaam naheen hai. Thorree see mehnat koyee karr lai tou guzaaray mawafiq ghazal ho jatee hai. Magar achcha, aur bohat achcha sh'er kehnaa waq'etann nihayyat riyazat aur kamaal kaa kaam hai. Qaabil kay mukhtasar say deewaan mein, bohat achchay ash'aar kaa tanaasab hairat angayz hai.
Qaabil kay ash'aar agar kissee kay paas houn tou please yahan post karrtay jaaye, kyaa khabar iss tarah eik gumgashteh khazaaneh baazyaab ho jaaye. . .
Please, agar Qaabil kay ash'aar hou tou 'enayat fermaayye gaa
Dayem aabaad
Rawshni
read / write comments report writing Read Count : 1117 | Comments : 0
|